Kuch baatein unkahi reh gayi thi
Kuch choti thi kuch bari
Kyunki mujhe laga “ kya jaldi hain ? "
Abhi toh dono ke paas poori zindagi hain aage pari
Un baton ko choro ab gaya who samaye
Achcha chalo yeh batao
Kya usne dhyaan diya ?
Jis tarah tum chai peete peete
Apne geet sason tale gungunati ho ?
Kya usne dekha itni baariki se tumhe ki use mallom chale,
Aksar khayalon main khokar
Tum bekhyali main apne zulfo tale halke se muskurati ho ?
Kya usne poocha us din ke baare main,
jiske tumhe aaj bhi darawne sapne aate hain
kya usne kaha tumse ki tumhari khamiyon ko
wo apne pyaar se bhar dega ?
Ya bas usne sirf tumhare hotoh ko janna chaha
Aur tumhare baye gaal ke til ko tanha chor diya
Kya usnne itna pyaar kiya jo ruh tak pohuche
Ya phir jism tak pohoch ke use sukoon mil gaya.
-WriterOwl
![]() |
Comments
Post a Comment